Hui Muddaten Ai Dil-e-hazin Na Payam Hai Na Salam Hai

hui muddaten ai dil-e-hazin na payam hai na salam hai

ki usi ko kahte hain dosti ki usi ka dosti nam hai

kabhi jae baad-e-saba udhar to ye kahna us ki bhi hai KHabar

ba-juz ek gham ke siwa tere jise khana pina haram hai

tu sukun-o-sabr miTae ja gham-e-ishq mujh ko rulae ja

ho taDap taDap ke sahar mujhe yahi dard-e-dil tera kaam hai

main dikhaun kis ko ye haal-e-dil main sunaun kis ko ye haal-e-dil

kahin mujh se KHana-ba-dosh ko na qarar hai na qayam hai

mujhe dard tu ne ata kiya mere mehrban tera shukriya

bana dard-e-dil tera zindagi tere dard-e-dil se hi kaam hai

na qarar aae kisi tarah mere dard-e-dil tu taraqqi kar

shab-e-gham taDapte hi ho sahar shab-e-gham taDapne se kaam hai

ye kaisi us ki hai dosti ye bata to mujh ko dil-e-hazin

nahin jis ko dur ka wasta use dur hi se salam hai

wo nazar bacha ke chala gaya main ye 'raaz' kahta hi rah gaya

zara jaane wale ye baat sun ye bata to kya tera nam hai

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hui Muddaten Ai Dil-e-hazin Na Payam Hai Na Salam Hai In English By Famous Poet Basheeruddin Raaz. Hui Muddaten Ai Dil-e-hazin Na Payam Hai Na Salam Hai is written by Basheeruddin Raaz. Read famous Poem Hui Muddaten Ai Dil-e-hazin Na Payam Hai Na Salam Hai for youth and Student by Basheeruddin Raaz. Free Download Hui Muddaten Ai Dil-e-hazin Na Payam Hai Na Salam Hai in PDF.