Jalwon Ka Un Ke Dil Ko Talab-gar Kar Diya

jalwon ka un ke dil ko talab-gar kar diya

ai shauq kis bala mein giraftar kar diya

ek ho gaya izafa meri zindagi mein aur

tum ne jo dil ko mail-e-azar kar diya

dil ki mujhe KHabar hai na dil ko meri KHabar

milte hi aankh kya nigah-e-yar kar diya

dil-bastagi ke waste dil ko lagaya tha

ummid hasraton ne ek aazar kar diya

rakh li junun ne baat meri un ke samne

har aable se KHar numudar kar diya

hain saKHtiyan baDhi hui zindan mein aaj-kal

do-gam chalna bhi mujhe dushwar kar diya

ye kaisa rog dil ko laga intizar ka

aankhon ko un ka talib-e-didar kar diya

kis ne karam kiya ye mere haal-e-zar par

is be-KHudi-e-ishq se hoshyar kar diya

main ne chhupaya lakh magar ashk-e-gham ne aah

ai 'raaz' raaz-e-shauq ka izhaar kar diya

(654) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalwon Ka Un Ke Dil Ko Talab-gar Kar Diya In English By Famous Poet Basheeruddin Raaz. Jalwon Ka Un Ke Dil Ko Talab-gar Kar Diya is written by Basheeruddin Raaz. Read famous Poem Jalwon Ka Un Ke Dil Ko Talab-gar Kar Diya for youth and Student by Basheeruddin Raaz. Free Download Jalwon Ka Un Ke Dil Ko Talab-gar Kar Diya in PDF.