Falak Se Chand Sitaron Se Jam Lena Hai

falak se chand sitaron se jam lena hai

mujhe sahar se nai ek sham lena hai

kise KHabar ki farishte ghazal samajhte hain

KHuda ke samne kafir ka nam lena hai

muamla hai tera badtarin dushman se

mere aziz mohabbat se kaam lena hai

mahakti zulfon se KHushbu chamakti aankh se dhup

shabon se jam-e-sahar ka salam lena hai

tumhaari chaal ki aahistagi ke lahje mein

suKHan se dil ko masalne ka kaam lena hai

nahin main 'mir' ke dar par kabhi nahin jata

mujhe KHuda se ghazal ka kalam lena hai

baDe saliqe se noTon mein us ko tulwa kar

amir-e-shahr se ab intiqam lena hai

(1029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Falak Se Chand Sitaron Se Jam Lena Hai In English By Famous Poet Bashir Badr. Falak Se Chand Sitaron Se Jam Lena Hai is written by Bashir Badr. Read famous Poem Falak Se Chand Sitaron Se Jam Lena Hai for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Falak Se Chand Sitaron Se Jam Lena Hai in PDF.