Ek Pari Ke Sath Maujon Par Tahalta Raat Ko

ek pari ke sath maujon par Tahalta raat ko

ab bhi ye qudrat kahan hai aadmi ki zat ko

jin ka sara jism hota hai hamari hi tarah

phul kuchh aise bhi khilte hain hamesha raat ko

ek ek kar ke sabhi kapDe badan se gir chuke

subh phir hum ye kafan pahnaenge jazbaat ko

pichhe pichhe raat thi taron ka ek lashkar liye

rail ki paTri pe suraj chal raha tha raat ko

aab o KHak o baad mein bhi lahar wo aa jae hai

surKH kar deti hai dam bhar mein jo pili dhat ko

subh bistar band hai jis mein lipaT jate hain hum

ek safar ke baad phir khulte hain aadhi raat ko

sar pe suraj ke hamare pyar ka saya rahe

mamta ka jism mange zindagi ki baat ko

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Pari Ke Sath Maujon Par Tahalta Raat Ko In English By Famous Poet Bashir Badr. Ek Pari Ke Sath Maujon Par Tahalta Raat Ko is written by Bashir Badr. Read famous Poem Ek Pari Ke Sath Maujon Par Tahalta Raat Ko for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Ek Pari Ke Sath Maujon Par Tahalta Raat Ko in PDF.