Hansi Masum Si Bachchon Ki Copy Mein Ibarat Si

hansi masum si bachchon ki copy mein ibarat si

hiran ki piTh par baiThe parinde ki shararat si

wo jaise sardiyon mein garm kapDe de faqiron ko

labon pe muskurahaT thi magar kaisi haqarat si

udasi pat-jhaDon ki sham oDhe rasta takti

pahaDi par hazaron sal ki koi imarat si

sajae bazuon par bazu wo maidan mein tanha tha

chamakti thi ye basti dhup mein taraj o ghaarat si

meri aaankhon mere honTon pe ye kaisi tamazat hai

kabutar ke paron ki reshmi ujli hararat si

khila de phul mere bagh mein paighambaron jaisa

raqam ho jis ki peshani pe ek aayat bashaarat si

(1704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hansi Masum Si Bachchon Ki Copy Mein Ibarat Si In English By Famous Poet Bashir Badr. Hansi Masum Si Bachchon Ki Copy Mein Ibarat Si is written by Bashir Badr. Read famous Poem Hansi Masum Si Bachchon Ki Copy Mein Ibarat Si for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Hansi Masum Si Bachchon Ki Copy Mein Ibarat Si in PDF.