HonTon Pe Mohabbat Ke Fasane Nahin Aate

honTon pe mohabbat ke fasane nahin aate

sahil pe samundar ke KHazane nahin aate

palken bhi chamak uThti hain sone mein hamari

aankhon ko abhi KHwab chhupane nahin aate

dil ujDi hui ek sarae ki tarah hai

ab log yahan raat jagane nahin aate

yaro nae mausam ne ye ehsan kiye hain

ab yaad mujhe dard purane nahin aate

uDne do parindon ko abhi shoKH hawa mein

phir lauT ke bachpan ke zamane nahin aate

is shahr ke baadal teri zulfon ki tarah hain

ye aag lagate hain bujhane nahin aate

ahbab bhi ghairon ki ada sikh gae hain

aate hain magar dil ko dukhane nahin aate

(1613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

HonTon Pe Mohabbat Ke Fasane Nahin Aate In English By Famous Poet Bashir Badr. HonTon Pe Mohabbat Ke Fasane Nahin Aate is written by Bashir Badr. Read famous Poem HonTon Pe Mohabbat Ke Fasane Nahin Aate for youth and Student by Bashir Badr. Free Download HonTon Pe Mohabbat Ke Fasane Nahin Aate in PDF.