Kahan Aansuon Ki Ye Saughat Hogi

kahan aansuon ki ye saughat hogi

nae log honge nai baat hogi

main har haal mein muskuraata rahunga

tumhaari mohabbat agar sath hogi

charaghon ko aankhon mein mahfuz rakhna

baDi dur tak raat hi raat hogi

pareshan ho tum bhi pareshan hun main bhi

chalo mai-kade mein wahin baat hogi

charaghon ki lau se sitaron ki zau tak

tumhein main milunga jahan raat hogi

jahan wadiyon mein nae phul aae

hamari tumhaari mulaqat hogi

sadaon ko alfaz milne na paen

na baadal ghirenge na barsat hogi

musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi

kisi moD par phir mulaqat hogi

(1703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Aansuon Ki Ye Saughat Hogi In English By Famous Poet Bashir Badr. Kahan Aansuon Ki Ye Saughat Hogi is written by Bashir Badr. Read famous Poem Kahan Aansuon Ki Ye Saughat Hogi for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Kahan Aansuon Ki Ye Saughat Hogi in PDF.