Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein Ki Meri Nazar Ko KHabar Na Ho

kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko KHabar na ho

mujhe ek raat nawaz de magar is ke baad sahar na ho

wo baDa rahim o karim hai mujhe ye sifat bhi ata kare

tujhe bhulne ki dua karun to meri dua mein asar na ho

mere bazuon mein thaki thaki abhi mahw-e-KHwab hai chandni

na uThe sitaron ki palki abhi aahaTon ka guzar na ho

ye ghazal ki jaise hiran ki aankh mein pichhli raat ki chandni

na bujhe KHarabe ki raushni kabhi be-charagh ye ghar na ho

kabhi din ki dhup mein jhum ke kabhi shab ke phul ko chum ke

yun hi sath sath chalen sada kabhi KHatm apna safar na ho

(1358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein Ki Meri Nazar Ko KHabar Na Ho In English By Famous Poet Bashir Badr. Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein Ki Meri Nazar Ko KHabar Na Ho is written by Bashir Badr. Read famous Poem Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein Ki Meri Nazar Ko KHabar Na Ho for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein Ki Meri Nazar Ko KHabar Na Ho in PDF.