Mere Dil Ki Rakh Kured Mat Ise Muskura Ke Hawa Na De

mere dil ki rakh kured mat ise muskura ke hawa na de

ye charagh phir bhi charagh hai kahin tera hath jala na de

nae daur ke nae KHwab hain nae mausamon ke gulab hain

ye mohabbaton ke charagh hain inhen nafraton ki hawa na de

zara dekh chand ki pattiyon ne bikhar bikhar ke tamam shab

tera nam likkha hai ret par koi lahr aa ke miTa na de

main udasiyan na saja sakun kabhi jism-o-jaan ke mazar par

na diye jalen meri aankh mein mujhe itni saKHt saza na de

mere sath chalne ke shauq mein baDi dhup sar pe uThaega

tera nak naqsha hai mom ka kahin gham ki aag ghula na de

main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phul chuna karun

meri saltanat mera fan rahe mujhe taj-o-taKHt KHuda na de

(1578) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Dil Ki Rakh Kured Mat Ise Muskura Ke Hawa Na De In English By Famous Poet Bashir Badr. Mere Dil Ki Rakh Kured Mat Ise Muskura Ke Hawa Na De is written by Bashir Badr. Read famous Poem Mere Dil Ki Rakh Kured Mat Ise Muskura Ke Hawa Na De for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Mere Dil Ki Rakh Kured Mat Ise Muskura Ke Hawa Na De in PDF.