Mere Sine Par Wo Sar Rakkhe Hue Sota Raha

mere sine par wo sar rakkhe hue sota raha

jaane kya thi baat main jaga kiya rota raha

shabnami mein dhup ki jaise watan ka KHwab tha

log ye samjhe main sabze par paDa sota raha

wadiyon mein gah utra aur kabhi parbat chaDha

bojh sa ek dil pe rakkha hai jise Dhota raha

gah pani gah shabnam aur kabhi KHunab se

ek hi tha dagh sine mein jise dhota raha

ek hawa-e-be-takan se aaKHirash murjha gaya

zindagi bhar jo mohabbat ke shajar bota raha

rone walon ne uTha rakkha tha ghar sar par magar

umr bhar ka jagne wala paDa sota raha

raat ki palkon pe taron ki tarah jaga kiya

subh ki aankhon mein shabnam ki tarah rota raha

raushni ko rang kar ke le gae jis raat log

koi saya mere kamre mein chhupa rota raha

(1128) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Sine Par Wo Sar Rakkhe Hue Sota Raha In English By Famous Poet Bashir Badr. Mere Sine Par Wo Sar Rakkhe Hue Sota Raha is written by Bashir Badr. Read famous Poem Mere Sine Par Wo Sar Rakkhe Hue Sota Raha for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Mere Sine Par Wo Sar Rakkhe Hue Sota Raha in PDF.