Yunhi Be-sabab Na Phira Karo Koi Sham Ghar Mein Raha Karo

yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo

wo ghazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke paDha karo

koi hath bhi na milaega jo gale miloge tapak se

ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo

abhi rah mein kai moD hain koi aaega koi jaega

tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo

mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan

jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo

kabhi husn-e-parda-nashin bhi ho zara aashiqana libas mein

jo main ban sanwar ke kahin chalun mere sath tum bhi chala karo

nahin be-hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho

use itni garmi-e-shauq se baDi der tak na taka karo

ye KHizan ki zard si shaal mein jo udas peD ke pas hai

ye tumhaare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo

(2779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yunhi Be-sabab Na Phira Karo Koi Sham Ghar Mein Raha Karo In English By Famous Poet Bashir Badr. Yunhi Be-sabab Na Phira Karo Koi Sham Ghar Mein Raha Karo is written by Bashir Badr. Read famous Poem Yunhi Be-sabab Na Phira Karo Koi Sham Ghar Mein Raha Karo for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Yunhi Be-sabab Na Phira Karo Koi Sham Ghar Mein Raha Karo in PDF.