TaKHliq-e-kaenat Digar Kar Sake To Kar

taKHliq-e-kaenat digar kar sake to kar

paida KHud apne sham-o-sahar kar sake to kar

phulon mein shab guzarna mushkil nahin koi

kanTon pe koi raat basar kar sake to kar

achchha nahin kisi ki tamanna se khelna

achchha yahi hai is se hazar kar sake to kar

har ashk-e-KHun hai maKHzan-e-sarmaya-e-hayat

har ashk-e-KHun ko lal-o-gohar kar sake to kar

tare marahil-e-safar-e-shauq hi sahi

taron ko bhi sharik-e-safar kar sake to kar

aql-o-KHirad ke marhale tai kar liye to kya

wahm-o-guman ke marke sar kar sake to kar

'faruq' ye bahaar-e-chaman phir na aaegi

yaran-e-mai-kada ko KHabar kar sake to kar

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaKHliq-e-kaenat Digar Kar Sake To Kar In English By Famous Poet Bashir Farooq. TaKHliq-e-kaenat Digar Kar Sake To Kar is written by Bashir Farooq. Read famous Poem TaKHliq-e-kaenat Digar Kar Sake To Kar for youth and Student by Bashir Farooq. Free Download TaKHliq-e-kaenat Digar Kar Sake To Kar in PDF.