Wo Kabhi ShaKH-e-gul-e-tar Ki Tarah Lagta Hai

wo kabhi shaKH-e-gul-e-tar ki tarah lagta hai

aur kabhi dashna-o-KHanjar ki tarah lagta hai

le ke aaya hun main kuchh KHwab un aankhon ke liye

aaina bhi jinhen patthar ki tarah lagta hai

hadse aise bhi guzre ki tasawwur jin ka

dil ko chhu jae to Thokar ki tarah lagta hai

halchalen daera-e-jaan mein chhupi rahti hain

jis se miliye wo samundar ki tarah lagta hai

kaisa mausam hai ki chubhti hain badan mein kirnen

sar pe suraj kisi KHanjar ki tarah lagta hai

aadmi shiddat-e-ehsas ka mara ho agar

barg-e-gul bhi use patthar ki tarah lagta hai

dasht-e-be-ab mein jalte hue honTon ko 'bashir'

ek qatra bhi samundar ki tarah lagta hai

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kabhi ShaKH-e-gul-e-tar Ki Tarah Lagta Hai In English By Famous Poet Bashir Farooq. Wo Kabhi ShaKH-e-gul-e-tar Ki Tarah Lagta Hai is written by Bashir Farooq. Read famous Poem Wo Kabhi ShaKH-e-gul-e-tar Ki Tarah Lagta Hai for youth and Student by Bashir Farooq. Free Download Wo Kabhi ShaKH-e-gul-e-tar Ki Tarah Lagta Hai in PDF.