Ab Ke Junun Mein Lazzat-e-azar Bhi Nahin

ab ke junun mein lazzat-e-azar bhi nahin

zaKHm-e-jigar mein surKHi-e-ruKHsar bhi nahin

hum tere pas aa ke pareshan hain bahut

hum tujh se dur rahne ko tayyar bhi nahin

ye hukm hai ki saunp do nazm-e-chaman unhen

nazm-e-chaman se jin ko sarokar bhi nahin

toDa hai us ne dil ko mere kitne husn se

aawaz bhi nahin koi jhankar bhi nahin

hum parsa hain phir bhi tere dast-e-naz se

mil jae koi jam to inkar bhi nahin

Thahre agar to dur nikal jaegi hayat

chalte raho ki fursat-e-didar bhi nahin

jashn-e-bahaar dekhne walon ko dekhiye

daman mein jin ke phul to kya KHar bhi nahin

(1054) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ke Junun Mein Lazzat-e-azar Bhi Nahin In English By Famous Poet Bashir Farooqi. Ab Ke Junun Mein Lazzat-e-azar Bhi Nahin is written by Bashir Farooqi. Read famous Poem Ab Ke Junun Mein Lazzat-e-azar Bhi Nahin for youth and Student by Bashir Farooqi. Free Download Ab Ke Junun Mein Lazzat-e-azar Bhi Nahin in PDF.