Logo Hum Chhan Chuke Ja Ke Samundar Sare

logo hum chhan chuke ja ke samundar sare

us ne muTThi mein chhupa rakkhe hain gauhar sare

zaKHm-e-dil jag uThe phir wahi din yar aae

phir tasawwur pe ubhar aae wo manzar sare

tishnagi meri ajab ret ka manzar nikli

mere honTon pe hue KHushk samundar sare

us ko ghamgin jo paya to main kuchh kah na saka

bujh gae mere dahakte hue tewar sare

aagahi karb wafa sabr tamanna ehsas

mere hi sine mein utre hain ye KHanjar sare

dosto tum ne jo phenke the mere aangan mein

lag gae ghar ki fasilon mein wo patthar sare

KHun-e-dil aur nahin rang-e-hina aur nahin

ek hi rang mein hain shahr ke manzar sare

qatl-gah mein ye charaghan hai mere dam se 'bashir'

mujh ko dekha to chamakne lage KHanjar sare

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Logo Hum Chhan Chuke Ja Ke Samundar Sare In English By Famous Poet Bashir Farooqi. Logo Hum Chhan Chuke Ja Ke Samundar Sare is written by Bashir Farooqi. Read famous Poem Logo Hum Chhan Chuke Ja Ke Samundar Sare for youth and Student by Bashir Farooqi. Free Download Logo Hum Chhan Chuke Ja Ke Samundar Sare in PDF.