Mere Badan Mein Chhupi Aag Ko Hawa Dega

mere badan mein chhupi aag ko hawa dega

wo jism phul hai lekin mujhe jala dega

tumhaare mehrban hathon ko mere shane se

mujhe guman bhi na tha waqt yun haTa dega

hai aur kaun mere ghar mein ye sawal na kar

mera jawab tera rang-e-ruKH uDa dega

chale bhi aao ki ye Dubta hua suraj

charagh jalne se pahle mujhe bujha dega

khaDe hue hain yahan to buland-himmat log

thake huon ko bhala kaun rasta dega

daron ko band karo warna aandhiyon ka ye zor

tumhaare kachche gharon ki chhaten uDa dega

jahan sab apne hi daman ko dekhte hon 'bashir'

us anjuman mein bhala kaun kis ko kya dega

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Badan Mein Chhupi Aag Ko Hawa Dega In English By Famous Poet Bashir Farooqi. Mere Badan Mein Chhupi Aag Ko Hawa Dega is written by Bashir Farooqi. Read famous Poem Mere Badan Mein Chhupi Aag Ko Hawa Dega for youth and Student by Bashir Farooqi. Free Download Mere Badan Mein Chhupi Aag Ko Hawa Dega in PDF.