Aisa Lagta Hai MuKhaalif Hai KHudai Meri

aisa lagta hai muKHalif hai KHudai meri

koi karta hi nahin khul ke burai meri

mujh mein madfun baDe shahr-e-maani the magar

dur tak kar na saka waqt KHudai meri

be-sada shahr tha KHamosh the galiyon ke makin

ek muddat mujhe aawaz na aai meri

KHair-KHwahi ka raha yun to sabhi ko dawa

chahta bhi to koi dil se bhalai meri

shab ki dahliz pe qazzaq zarurat to nahin

chhin leta hai jo din-bhar ki kamai meri

kuchh mere ilm ne bhi mujh ko fazilat baKHshi

fan se nisbat ne bhi tauqir baDhai meri

mujh ko mujh tak hi na mahdud samajhna 'saifi'

la-makan se bhi pare tak hai rasai meri

(664) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Lagta Hai MuKhaalif Hai KHudai Meri In English By Famous Poet Bashir Saifi. Aisa Lagta Hai MuKhaalif Hai KHudai Meri is written by Bashir Saifi. Read famous Poem Aisa Lagta Hai MuKhaalif Hai KHudai Meri for youth and Student by Bashir Saifi. Free Download Aisa Lagta Hai MuKhaalif Hai KHudai Meri in PDF.