KHud Apna Eatibar Ganwata Raha Hun Main

KHud apna eatibar ganwata raha hun main

zarre ko aaftab batata raha hun main

andhi hawa ko dun koi ilzam kis liye

apne diye ko aap bujhata raha hun main

ek umr ke riyaz ka hasil na puchhiye

reg-e-rawan pe naqsh banata raha hun main

har chand maslahat ka taqaza kuchh aur tha

aaina har kisi ko dikhata raha hun main

bachchon ke hanste-khelte chehron ki oT mein

apne dukhon ki Tis chhupata raha hun main

ye aur baat KHud mere panw na uTh sake

auron ko rasta to dikhata raha hun main

'saifi' fishaar-e-gham ki tamazat ke bawajud

hairat hai apni baat nibhata rahun main

(624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Apna Eatibar Ganwata Raha Hun Main In English By Famous Poet Bashir Saifi. KHud Apna Eatibar Ganwata Raha Hun Main is written by Bashir Saifi. Read famous Poem KHud Apna Eatibar Ganwata Raha Hun Main for youth and Student by Bashir Saifi. Free Download KHud Apna Eatibar Ganwata Raha Hun Main in PDF.