Hai Duniya Mein Zaban Meri Agar Band

hai duniya mein zaban meri agar band

magar mani ke mujh par kab hain dar band

jo sab nama kiya aata hai dekhen

likha nama diya qasid ko sar-band

KHuda jaane hai is mein maslahat kya

khuli hai rah lekin hai KHabar band

rihai jite-ji mumkin nahin hai

qafas hai aahani dar-band par band

kahen bhi ab nahin mera Thikana

ki ek ek ghar hai band ek ek dar band

na kyun taklif ho arman ko dil mein

kahan jae kidhar jae hai ghar band

mujhe aata nahin kya kaam karna

magar bab-e-dua band aur asar band

kahen bhule se koi aa to jae

hum apne dil mein rakkhenge nazar band

dua ye hai ki ya-rab mutmain hon

ho ulfat mein kasi surat se shar band

wo raaziq rizq pahunchata hai sab ko

khulen sattar agar ho ek dar band

baradar quwwat-e-bazu hai mana

magar farzand hota hai jigar-band

mera dil bhi tilismi hai KHazana

ki is mein KHair bhi hai aur shar band

bashir achchhi zaban pai hai tu ne

tari durj-e-dahan mein hain guhar band

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Duniya Mein Zaban Meri Agar Band In English By Famous Poet Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Hai Duniya Mein Zaban Meri Agar Band is written by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Read famous Poem Hai Duniya Mein Zaban Meri Agar Band for youth and Student by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Free Download Hai Duniya Mein Zaban Meri Agar Band in PDF.