Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya

charagh us ne bujha bhi diya jala bhi diya

ye meri qabr pe manzar naya dikha bhi diya

ye chheD kya hai ye kya mujh se dil-lagi hai koi

jagaya nind se jaga to phir sula bhi diya

udhar tha lutf-o-karam un ka is taraf tha itab

charagh umid ka raushan kiya bujha bhi diya

ye shoKHiyan nai dekhin tumhaari chitwan mein

ki parda ruKH pe liya aur phir uTha bhi diya

udhar lagaw idhar barhami ke hain aasar

mujhe phansa bhi liya aur phir chhuDa bhi diya

nikal gae meri aankhon se saikaDon aansu

KHazana jama kiya aur phir luTa bhi diya

naya hai husn ke bazar ka utar-chaDhaw

chaDhaya sar pe nigahon se phir gira bhi diya

zara to pas-e-talab aashiqon ka tum karte

bulaya pas bhi phir pas se haTa bhi diya

ye un ka khel to dekho ki ek kaghaz par

likha bhi nam mera aur phir miTa bhi diya

agarche rah-e-mohabbat hai tang-o-tar magar

isi ke sath hamein aql ka diya bhi diya

bashir sing kaTa kar mile hain bachhDon mein

bane jawan buDhape ka gham bhula bhi diya

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya In English By Famous Poet Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya is written by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Read famous Poem Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya for youth and Student by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Free Download Charagh Usne Bujha Bhi Diya Jala Bhi Diya in PDF.