Puchhte Hain Wo Ishq Ka Matlab

puchhte hain wo ishq ka matlab

ab nikal jaega mera matlab

us pe zahir hua mera matlab

kash pura kare KHuda matlab

kah diya un se barmala matlab

ab KHuda chahe to hua matlab

baat puri abhi nahin nikli

munh se tum le uDe mera matlab

kahte hain arz-e-wasl par wo kaho

dusri baat dusra matlab

hai ye matlab na kuchh zaban se kahun

main samajhta hun aap ka matlab

jo tamanna hai tum pe zahir hai

har ghaDi puchhne se kya matlab

dil mein jo kuchh tha un se kah na saka

lab pe aa aa ke rah gaya matlab

muddaa hai wahi jo pahle tha

aur main kya kahun naya matlab

ru-ba-ru un ke baat kar na saka

KHat mein aaKHir ko likh diya matlab

baat kya hai wo mujh se puchhte hain

waqia qissa majra matlab

wasta ghair ka nahin achchha

KHub banta hai barmala matlab

tum jo mil jao kaam ban jae

aur us ke siwa hi kya matlab

aaj KHush KHush bashir phirte hain

nikla arman muddaa matlab

(684) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Puchhte Hain Wo Ishq Ka Matlab In English By Famous Poet Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Puchhte Hain Wo Ishq Ka Matlab is written by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Read famous Poem Puchhte Hain Wo Ishq Ka Matlab for youth and Student by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Free Download Puchhte Hain Wo Ishq Ka Matlab in PDF.