Har-chand Mere Haal Se Wo Be-KHabar Nahin

har-chand mere haal se wo be-KHabar nahin

lekin wo be-kali jo idhar hai udhar nahin

aawaz-e-raftagan mujhe lati hai is taraf

ye rasta agarche meri rahguzar nahin

chamki thi ek barq si phulon ke aas-pas

phir kya hua chaman mein mujhe kuchh KHabar nahin

kuchh aur ho na ho chalo apna hi dil jale

itna bhi apni aah mein lekin asar nahin

aati nahin hai in se shanasai ki mahak

ye mere apne shahr ke diwar-o-dar nahin

'basir' jaga diya hai tumhein kis ne aadhi raat

is dasht mein to nam-o-nishan-e-sahar nahin

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har-chand Mere Haal Se Wo Be-KHabar Nahin In English By Famous Poet Basir Sultan Kazmi. Har-chand Mere Haal Se Wo Be-KHabar Nahin is written by Basir Sultan Kazmi. Read famous Poem Har-chand Mere Haal Se Wo Be-KHabar Nahin for youth and Student by Basir Sultan Kazmi. Free Download Har-chand Mere Haal Se Wo Be-KHabar Nahin in PDF.