Hum Jaise Tegh-e-zulm Se Dar Bhi Gae To Kya

hum jaise tegh-e-zulm se Dar bhi gae to kya

kuchh wo bhi hain jo kahte hain sar bhi gae to kya

uThti rahengi dard ki Tisen tamam umr

hain zaKHm tere hath ke bhar bhi gae to kya

hain kaun se bahaar ke din apne muntazir

ye din kisi tarah se guzar bhi gae to kya

ek makr hi tha aap ka ifa-e-ahd bhi

apne kahe se aaj mukar bhi gae to kya

hum to isi tarah se phirenge KHarab-haal

ye sher tere dil mein utar bhi gae to kya

'basir' tumhein yahan ka abhi tajraba nahin

bimar ho? paDe raho, mar bhi gae to kya

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Jaise Tegh-e-zulm Se Dar Bhi Gae To Kya In English By Famous Poet Basir Sultan Kazmi. Hum Jaise Tegh-e-zulm Se Dar Bhi Gae To Kya is written by Basir Sultan Kazmi. Read famous Poem Hum Jaise Tegh-e-zulm Se Dar Bhi Gae To Kya for youth and Student by Basir Sultan Kazmi. Free Download Hum Jaise Tegh-e-zulm Se Dar Bhi Gae To Kya in PDF.