Kar Liya Din Mein Kaam AaTh Se Panch

kar liya din mein kaam aaTh se panch

ab chale daur-e-jam aaTh se panch

chand hai aur aasman hai saf

rahiye baala-e-baam aaTh se panch

ab to hum ban gae hain ek machine

ab hamara hai nam aaTh se panch

sher kya shairi ke bare mein

sochna bhi haram aaTh se panch

kuchh KHariden to bhaw panch ke aaTh

aur bechen to dam aaTh se panch

wo mile bhi to bas ye puchhenge

kuchh mila kaam-wam aaTh se panch

sohbat-e-ahl-e-zauq hai 'basir'

ab sunao kalam aaTh se panch

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kar Liya Din Mein Kaam AaTh Se Panch In English By Famous Poet Basir Sultan Kazmi. Kar Liya Din Mein Kaam AaTh Se Panch is written by Basir Sultan Kazmi. Read famous Poem Kar Liya Din Mein Kaam AaTh Se Panch for youth and Student by Basir Sultan Kazmi. Free Download Kar Liya Din Mein Kaam AaTh Se Panch in PDF.