KHat Mein Kya Kya Likhun Yaad Aati Hai Har Baat Pe Baat

KHat mein kya kya likhun yaad aati hai har baat pe baat

yahi behtar ki uTha rakhkhun mulaqat pe baat

raat ko kahte hain kal baat karenge din mein

din guzar jae to samjho ki gai raat pe baat

apni baaton ke zamane to hawa-burd hue

ab kiya karte hain hum surat-e-haalat pe baat

log jab milte hain kahte hain koi baat karo

jaise rakkhi hui hoti ho mere hat pe baat

mil na sakne ke bahane unhen aate hain bahut

DhunD lete hain koi hum bhi mulaqat pe baat

dusron ko bhi maza sunne mein aae 'basir'

apne aansu ki nahin kijiye barsat pe baat

(1036) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHat Mein Kya Kya Likhun Yaad Aati Hai Har Baat Pe Baat In English By Famous Poet Basir Sultan Kazmi. KHat Mein Kya Kya Likhun Yaad Aati Hai Har Baat Pe Baat is written by Basir Sultan Kazmi. Read famous Poem KHat Mein Kya Kya Likhun Yaad Aati Hai Har Baat Pe Baat for youth and Student by Basir Sultan Kazmi. Free Download KHat Mein Kya Kya Likhun Yaad Aati Hai Har Baat Pe Baat in PDF.