Jaise Bhi Ye Duniya Hai Jo Kuchh Bhi Zamana Hai

jaise bhi ye duniya hai jo kuchh bhi zamana hai

sab teri kahani hai sab mera fasana hai

ek barq-e-siyah-masti ek shoala-e-mad-hoshi

mina se girana hai saghar se uThana hai

tum tak na pahunch jae lau sham-e-mohabbat ki

jab tur ko phunka tha ab dil ko jalana hai

mahdud-e-zaban kab tak afsana mohabbat ka

aankhon se bhi kahna hai dil se bhi sunana hai

allah re tanzim hairat-kada-e-hasti

dekho to haqiqat hai samjho to fasana hai

aahen bhi nahin ruktin nale bhi nahin thamte

aur un ko mohabbat ka afsana sunana hai

wo husn-e-mujassam hain hum ishq-e-mukammal hain

un ka bhi zamana hai apna bhi zamana hai

jalwe kahin chhupte hain nazren kahin rukti hain

parda na uThana bhi parda hi uThana hai

bulbul ki mohabbat se wo raaz rahe kab tak

kaliyon ki zaban par jo mubham sa fasana hai

tadbir bhi ye kah kar ruKHsat hui furqat mein

taqdir ki duniya hai qismat ka zamana hai

kuchh dard ke pahlu hain kuchh yas ki baaten hain

afsana mera kya hai rona hai rulana hai

nakaam mohabbat ki allah re majburi

jine ki nahin fursat marne ko zamana hai

kya qahr hai ai 'basit' ye tab-e-haya-parwar

un ki hi mohabbat hai un se hi chhupana hai

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaise Bhi Ye Duniya Hai Jo Kuchh Bhi Zamana Hai In English By Famous Poet Basit Bhopali. Jaise Bhi Ye Duniya Hai Jo Kuchh Bhi Zamana Hai is written by Basit Bhopali. Read famous Poem Jaise Bhi Ye Duniya Hai Jo Kuchh Bhi Zamana Hai for youth and Student by Basit Bhopali. Free Download Jaise Bhi Ye Duniya Hai Jo Kuchh Bhi Zamana Hai in PDF.