Mere Rone Par Kisi Ki Chashm Giryan Hae Hae

mere rone par kisi ki chashm giryan hae hae

wo gul-e-tar wo faza-e-shabnamistan hae hae

wo kisi ki yaad-e-paiham sham-e-hijran hae hae

har nafas waqf-e-nawa-ha-e-pareshan hae hae

dil pe dard-e-ishq ka ek ek ehsan hae hae

jaan ki surat mein koi dushman-e-jaan hae hae

subh-e-hijran bad-tar-az-shab-ha-e-hijran hae hae

zindagi ek mustaqil KHwab-e-pareshan hae hae

dil ki rahat ke liye un ki mohabbat ke liye

koshish-e-be-sud phirta hadd-e-imkan hae hae

meri KHatir aur wo majburiyon ka e'tiraf

un ke nazuk dil ko bhi ehsas-e-hijran hae hae

kaifiyat-e-sajda-e-zauq-e-mohabbat al-aman

kaba-e-dil be-niyaz-e-kufr-o-iman hae hae

wo mera kaif-e-nazar wo be-KHudi wo sarKHushi

fursat-e-nazzara-ha-e-husn-e-jaanan hae hae

un ki mahfil mein bhi hun daman-kash-e-wahshat-ba-dil

har jagah ek aalam-e-adab-e-zindan hae hae

yas ki maujon mein har manzar ka aaKHir Dubna

dil se wo uThta hua tufan-e-hirman hae hae

jo na samjhen dard kya hai dard ka ehsas kya

kab tak un ke waste 'basit' ghazal-KHwan hae hae

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Rone Par Kisi Ki Chashm Giryan Hae Hae In English By Famous Poet Basit Bhopali. Mere Rone Par Kisi Ki Chashm Giryan Hae Hae is written by Basit Bhopali. Read famous Poem Mere Rone Par Kisi Ki Chashm Giryan Hae Hae for youth and Student by Basit Bhopali. Free Download Mere Rone Par Kisi Ki Chashm Giryan Hae Hae in PDF.