Zabt-e-gham Kar Bhi Liya To Kya Kiya

zabt-e-gham kar bhi liya to kya kiya

dil ki rag rag se lahu Tapka kiya

har tajalli aap ki taswir thi

is liye main har taraf dekha kiya

gham ke shoale jaan tak sarkash hue

ishq soz-e-dil hi ko roya kiya

luT len sab husn ki KHuddariyan

ai nigah-e-wapsin ye kya kiya

tha tumhaare samne dil ko sukun

phir jo ghabraya to ghabraya kiya

sham-e-gham ki baDh gain tarikiyan

ai charagh-e-arzu ye kya kiya

kis se paiman-e-mohabbat bandhiye

kaun kis ka rasta dekha kiya

aap se ab kya kahen is ke siwa

aap ne jo kuchh kiya achchha kiya

hasil-e-gham bhi miTa kar rakh diya

ai gham-e-be-hasili ye kya kiya

tujh pe ye ilzam 'basit' kam nahin

pyar ki nazron se kyun dekha kiya

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zabt-e-gham Kar Bhi Liya To Kya Kiya In English By Famous Poet Basit Bhopali. Zabt-e-gham Kar Bhi Liya To Kya Kiya is written by Basit Bhopali. Read famous Poem Zabt-e-gham Kar Bhi Liya To Kya Kiya for youth and Student by Basit Bhopali. Free Download Zabt-e-gham Kar Bhi Liya To Kya Kiya in PDF.