Aaenge Gar Unhen Ghairat Hogi

aaenge gar unhen ghairat hogi

wo na aae to qayamat hogi

hashr mein kaun sunega fariyaad

sadd-e-rah hadd-e-samaat hogi

nang-e-nazzara hai hum chashma-e-am

hum na dekhenge jo ruyat hogi

yak taraf ho ke rahenge yak-rang

hum ko aaraf se nafrat hogi

shikwa hai din-e-wafa mein ehdas

mujh se kahe ko ye bidat hogi

hain qayamat mein tammul kya kya

wasl ki kaun si saat hogi

reg hun chahiye dariya-e-sharab

mai-kade par na qanaat hogi

hai shab-e-wasl-e-do-alam gesu

wo jabin subh-e-shahadat hogi

bahr-e-rahmat hai do-alam ko muhit

mere mashrab ki si wusat hogi

mai se aaluda hua daman-e-husn

muttahim KHun ki tohmat hogi

khinchta tha koi un ka daman

KHak mein wasl ki hasrat hogi

ras hai chaara-e-bil-misl mujhe

qaid se aur bhi wahshat hogi

shoala-ru paDhte hain kalima tera

shama angusht-e-shahadat hogi

ghair ki aag mein jalne na diya

husn ki si kise ghairat hogi

washuda ghuncha-e-KHatir mat mang

muntashir bu-e-mohabbat hogi

zahr lagti hai unhen meri hayat

kyun ki manzur-e-shahadat hogi

kha gae nargis-e-shahla ka fareb

ki un aankhon mein murawwat hogi

teri zulfon ne chaDhae chille

dil ki is kuche mein turbat hogi

ban gae sat jahannum tah-e-KHak

kis ke pahlu mein ye hiddat hogi

kahin sar phoD ke mar rahiye 'bayan'

ek jahan se to faraghat hogi

(660) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaenge Gar Unhen Ghairat Hogi In English By Famous Poet Bayan Meeruti. Aaenge Gar Unhen Ghairat Hogi is written by Bayan Meeruti. Read famous Poem Aaenge Gar Unhen Ghairat Hogi for youth and Student by Bayan Meeruti. Free Download Aaenge Gar Unhen Ghairat Hogi in PDF.