Ai Junun Hath Ke Chalte Hi Machal Jaunga

ai junun hath ke chalte hi machal jaunga

main gareban se pahle hi nikal jaunga

wo haTe aankh ke aage se to bas surat-e-aks

main bhi us aaina-KHane se nikal jaunga

mehr tum soKHta main shisha-e-atish hai raqib

us pe Daloge tajalli to main jal jaunga

mujh se kahta hai mera dud-e-jigar surat-e-shama

dil mein rokoge to main sar se nikal jaunga

shama-san barsar-e-mahfil na jala dekh mujhe

phail jaunga sitamgar jo pighal jaunga

Thahar ai mehr zara subh-e-shab-e-wasl hai aaj

baam par dhup chaDhegi to main Dhal jaunga

rokta hun kabhi shoKHi se to har tifl-e-sarishk

ro ke kahta hai abhi ghar se nikal jaunga

kar-e-imroz ba-farda ma-guzar ai waiz

aaj is kuche mein hun KHuld mein kal jaunga

kaun uThaega ilahi shab-e-gham ki uftad

munh ko aata hai kaleja ki nikal jaunga

le ke aankhon mein tera jalwa kahan jaega

ghair ko dekh ke main aankh badal jaunga

har tarah hath mein hon gosha-e-daman ki tarah

wo sambhaalenge jo mujh ko to sambhal jaunga

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Junun Hath Ke Chalte Hi Machal Jaunga In English By Famous Poet Bayan Meeruti. Ai Junun Hath Ke Chalte Hi Machal Jaunga is written by Bayan Meeruti. Read famous Poem Ai Junun Hath Ke Chalte Hi Machal Jaunga for youth and Student by Bayan Meeruti. Free Download Ai Junun Hath Ke Chalte Hi Machal Jaunga in PDF.