Misl-e-hubab-e-bahr Na Itna Uchhal Ke Chal

misl-e-hubab-e-bahr na itna uchhal ke chal

hain sath sath mauj-e-hawadis sambhal ke chal

barg-e-KHizan-rasida se aati thi ye sada

is bagh-e-sabz par kaf-e-afsos mal ke chal

darpai nahang-e-marg hai darpesh chah-e-gor

masti na kar hawas mein aa mat machal ke chal

sote hain log tar hain kuche guzar hai tang

tarik shab hai sath charagh-e-amal ke chal

ai tan-parast jama-e-surat kasif hai

bazm-e-huzur-e-dost mein kapDe badal ke chal

aati hai zer-e-KHak se aawaz har qadam

uftadgan-e-rah ke sar mat kuchal ke chal

kab tak kasafaton mein rahega ba-rang-e-sard

aab-e-rawan ki tarah nikal aur nikal ke chal

jun shama tujh ko aatish-e-gham se gurez kyun

sar par dhari hai aag qadam tak pighal ke chal

jun naKHl-e-shama barq-e-tajalli gire kahin

daghon se aablon se 'bayan' phul phal ke chal

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Misl-e-hubab-e-bahr Na Itna Uchhal Ke Chal In English By Famous Poet Bayan Meeruti. Misl-e-hubab-e-bahr Na Itna Uchhal Ke Chal is written by Bayan Meeruti. Read famous Poem Misl-e-hubab-e-bahr Na Itna Uchhal Ke Chal for youth and Student by Bayan Meeruti. Free Download Misl-e-hubab-e-bahr Na Itna Uchhal Ke Chal in PDF.