Wo Dariya-bar Ashkon Ki JhaDi Hai

wo dariya-bar ashkon ki jhaDi hai

ki hut-e-asman tah mein paDi hai

mere arman buton ki sard-mehri

zraat barf ke pale paDi hai

chaman mein sarw ka bahrup bhar kar

qayamat muntazar kis ki khaDi hai

dahan-e-tang ghuncha patiyan lab

hansi hai phul fiqara pankhuDi hai

laga di aag kis shoala ne bulbul

har ek phulon ki Tahni phuljhaDi hai

nigah-e-yas kis ki kar gai choT

ki gardan tegh ki Dhalki paDi hai

anasir jald pahuncha denge ta-gor

nihayat tez-rau ye chaukDi hai

kafan se munh lapeTe meri hasrat

dil-e-viran ke kone mein paDi hai

sirhane muddai aaya to jaana

judai ki ghaDi sar par khaDi hai

kisi ko par utarega falak kya

usi ki naw chakkar mein paDi hai

bana le aql aag ka putla falatun

ki talchhaT kuchh mere KHum mein paDi hai

nasha hai aur hiran hain us ki aankhen

nazar-bazi hiran ki chaukDi hai

nigah-e-shauq se sina churaya

hamari choT tum se bhi kaDi hai

bala-e-zulf-e-mehman se kahun kya

nahin Talti mere sar aa paDi hai

syahi dur hogi rafta rafta

abhi zahid ki daDhi kaDbaDi hai

sar-e-mahshar baDhi hai kis qadar zulf

qayamat kis qadar ochhi paDi hai

guhar-bin hai nizam-ul-mulk apna

tabiat kya 'bayan' qismat laDi hai

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dariya-bar Ashkon Ki JhaDi Hai In English By Famous Poet Bayan Meeruti. Wo Dariya-bar Ashkon Ki JhaDi Hai is written by Bayan Meeruti. Read famous Poem Wo Dariya-bar Ashkon Ki JhaDi Hai for youth and Student by Bayan Meeruti. Free Download Wo Dariya-bar Ashkon Ki JhaDi Hai in PDF.