Yar Pahlu Mein Nihan Tha Mujhe Malum Na Tha

yar pahlu mein nihan tha mujhe malum na tha

tar-e-gesu rag-e-jaan tha mujhe malum na tha

dil mein wo ghuncha wahan tha mujhe malum na tha

gul shagufa mein nihan tha mujhe malum na tha

wo hi nur-e-do-jahan tha mujhe malum na tha

wahi yan tha wahi wan tha mujhe malum na tha

dil mera kaba-e-jaan tha mujhe malum na tha

nala gulbang-e-azan tha mujhe malum na tha

aankh par Dal diya dair-o-haram ka parda

wahi donon mein nihan tha mujhe malum na tha

sifat-e-nur-e-basarat wo mera parda-nashin

mere parde se ayan tha mujhe malum na tha

husn-e-surat ne diya jalwa-e-mani ka pata

but na tha sang-e-nishan tha mujhe malum na tha

jaanib-e-kaba-e-maqsud tan-e-zar mera

rawish-e-reg-e-rawan tha mujhe malum na tha

be-KHabar paDhne laga 'momin'-o-'ghaalib' ka kalam

kunj-e-KHalwat mein 'bayan' tha mujhe malum na tha

(1089) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yar Pahlu Mein Nihan Tha Mujhe Malum Na Tha In English By Famous Poet Bayan Meeruti. Yar Pahlu Mein Nihan Tha Mujhe Malum Na Tha is written by Bayan Meeruti. Read famous Poem Yar Pahlu Mein Nihan Tha Mujhe Malum Na Tha for youth and Student by Bayan Meeruti. Free Download Yar Pahlu Mein Nihan Tha Mujhe Malum Na Tha in PDF.