Ye Main Kahunga Falak Pe Ja Kar Zamin Se Aaya Hun Tang Aa Kar

ye main kahunga falak pe ja kar zamin se aaya hun tang aa kar

jo ai masiha tu hai masiha to kuchh mere dard ki dawa kar

tumhaare jalwe ghazab ke dekhe tumhaare chhinTe bala ke pae

laga laga di bujha bujha kar bujha bujha di laga laga kar

ziden mohabbat se aisi aain KHayal rakkha na apne ghar ka

buton ne kabe ko muft Dhaya kisi ke dil ko dukha dukha kar

wo shoKH be-e'tibar kafir raha na tanha gaya na tanha

jo dard uTTha uTha uTha kar to dil ko baiTha biTha biTha kar

ye zor hirman-o-yas ka hai asar kahan ka meri fughan ko

paTak paTak KHak par diya hai falak se uncha uTha uTha kar

gudaz karte hain mere dil ko wo yun biThate hain apna sikka

jali kaTi ho rahi hai kya kya adu se mujh ko suna suna kar

suni kisi ne sada-e-tuti na haalat-e-andalib dekhi

jo kor thi is chaman mein nargis to gul bhi ai ham-safir tha kar

kahin na zulfon se khul paDa ho mujhe hai andesha apne dil ka

ki purze purze uDa raha tha adu koi shai dikha dikha kar

wo but ki den us ko to na gar de to lakh tufan uTha ke dhar de

zaban phir saf qata kar de jo munh se nikle KHuda KHuda kar

ilahi hangam-e-amad-amad ye kis qayamat-KHiram ka hai

khisak chale sehn-e-bostan se tadrau-o-taus dum daba kar

falak hua mehrban phire din shab-e-visal aa gai to is ne

bahaar-e-lutf-o-karam dikha kar naqab-e-sharm-o-haya uTha kar

kabhi hansaya kabhi rulaya kabhi rulaya kabhi hansaya

jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar daba daba kar

'bayan' hai wo baadshah-e-asra ki jis ki dargah-e-KHusrawi mein

diya zamin-e-adab ko bosa falak ne gardan jhuka jhuka kar

(986) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Main Kahunga Falak Pe Ja Kar Zamin Se Aaya Hun Tang Aa Kar In English By Famous Poet Bayan Meeruti. Ye Main Kahunga Falak Pe Ja Kar Zamin Se Aaya Hun Tang Aa Kar is written by Bayan Meeruti. Read famous Poem Ye Main Kahunga Falak Pe Ja Kar Zamin Se Aaya Hun Tang Aa Kar for youth and Student by Bayan Meeruti. Free Download Ye Main Kahunga Falak Pe Ja Kar Zamin Se Aaya Hun Tang Aa Kar in PDF.