Raunaq Farogh-e-dard Se Kuchh Anjuman Mein Hai

raunaq farogh-e-dard se kuchh anjuman mein hai

KHun-e-jigar gharib ka har bankpan mein hai

diwana zindagani ka deta hai yun subut

bahar lahad se hai kabhi KHunin kafan mein hai

dil ke lahu se ruh ki hoti hai parwarish

mearaj aagahi ki wafur-e-mehan mein hai

har bund nok-e-kilk ki deti hai dars-e-hosh

kaunain ka suragh bhi batn-e-suKHan mein hai

do yak nafas hai KHema-e-gul ka fareb-rang

ibrat-farosh KHar bhi sehn-e-chaman mein hai

aafaq-saz mazhab-e-isar phir se DhunD

ek lal-e-shab-charagh bhi taq-e-kuhan mein hai

yaro suKHan bara-e-suKHan mutlaqan abas

paigham-e-hast-o-bud kahin fikr-o-fan mein hai

iKHlas dil ka rahmat-e-bari se kar talab

raushan charagh-e-adl kahan anjuman mein hai

bu-zar ka faqr hazrat-e-faruq ka mizaj

asnam-saz qaum ke sheKH-e-zaman mein hai

sauda-gari se mana ki hasil hai kuchh waqar

saman-e-mufsidat bhi tazin-e-tan mein hai

asr-e-rawan ke log hain aawargi-pasand

fitna bhi hirs-o-az ka KHizr-e-zaman mein hai

shabnam se pankhuDi bhi sulagti hai phul ki

nairangi-e-KHizan bhi bahaar-e-chaman mein hai

faizan-e-irtiqa se janaza KHulus ka

KHair-ul-umam ke dosh pe shahr-e-zaman mein hai

jamhuriyat bhi turfa-tamasha ka kis qadar

lauh-o-qalam ki jaan yad-e-aharman mein hai

is iftira pe dijiye kuchh muftari ko dad

jannat agar kahin hai to mere watan mein hai

jaane kise nasib ho 'bebak' aagahi

naqid jadid daur ka taKHmin-o-zan mein hai

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raunaq Farogh-e-dard Se Kuchh Anjuman Mein Hai In English By Famous Poet Bebak Bhojpuri. Raunaq Farogh-e-dard Se Kuchh Anjuman Mein Hai is written by Bebak Bhojpuri. Read famous Poem Raunaq Farogh-e-dard Se Kuchh Anjuman Mein Hai for youth and Student by Bebak Bhojpuri. Free Download Raunaq Farogh-e-dard Se Kuchh Anjuman Mein Hai in PDF.