Haq-kesh Ki Fariyaad

tahsin ke talib nahin ausaf-e-KHuda-dad

aafaq hila deti hai haq-kesh ki fariyaad

aabaad kahan halqa-e-sheri ki faza mein

but-KHana-e-mani ki sanam-e-KHana-e-bahzad

miT jaega aiwan-e-tafaKHur ka takalluf

yak shola-e-jawwala hai aah-e-dil-e-nashad

zargham hai rubah ke zarrin qafas mein

aazad hain paband giraftar hain aazad

ghazi ne kaha luT lo but-KHana-e-daulat

sufi ne kaha chhoD do ishrat gah-e-shaddad

tezab-e-siyasat mein KHudi jis ki hui gharq

wo kaghzi lobat bane kya paikar-e-faulad

hajat ke but-KHana-e-tazwir hazaron

bandon ne tere nam pe kar Dale hain ijad

luT jata hai har gam pe ismat ka KHazana

dilkash bahut hai mana ki har raqs-e-pari-zad

jamhur ki tahzib se iKHlas hai madum

imroz nai nasl ko allah nahin yaad

jamhur ki barakat se hue aadmi nange

science ne sau fitna-e-mahshar kiye ijad

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haq-kesh Ki Fariyaad In English By Famous Poet Bebak Bhojpuri. Haq-kesh Ki Fariyaad is written by Bebak Bhojpuri. Read famous Poem Haq-kesh Ki Fariyaad for youth and Student by Bebak Bhojpuri. Free Download Haq-kesh Ki Fariyaad in PDF.