Ahsan Taqwim

bustan-e-wafa dahr mein aabaad hai hum se

din-raat zamane ko KHuda yaad hai hum se

tariKH-e-junun KHun se ki hum ne nigarish

aafaq hain har masnad-e-irshad hai hum se

raushan kiya zulmat mein qindil-e-hunar ko

sahra mein chaman nur ka aabaad hai hum se

hum jannat-e-parwez ke hain husn-e-tafaKHur

shirin ki talab taisha-e-farhad hai hum se

sanche mein gham-o-dard ke insan ko Dhaala

shahkar-e-jahan-saz bhi ijad hai hum se

KHwabida shabistan mein azan hum ne pukari

iman-sara dahr ka aabaad hai hum se

hum shahr-e-tafalsuf mein hain tadris ki tanwir

shamshir ba-kaf bazu-e-faulad hai hum se

tamir kiya tesha-e-fan se chaman-e-dahr

tanqid-e-haq-asar bhi ijad hai hum se

meamar-e-yaqin-saz hain darwesh ke aadab

baqi abhi talim-e-KHuda-dad hai hum se

iKHlas ke moti se bhara daman-e-aghyar

iqlim-e-jahan mein adl-o-rad hai hum se

aiwan-e-zar-o-sim mein mahshar hua barpa

KHaif hama-tan lashkar-e-shaddad hai hum se

mahaul-e-zamana hai alamnak-o-jigar-doz

qaem wale kuchh rahmat-e-jawwad hai hum se

sar-bazi-e-paiham se hai gulzar murattab

sar-chashma-e-anwar ki buniyaad hai hum se

hum ahsan-e-taqwim ke hain bolti tafsir

rangin-e-dil-e-geti ki rudad hai hum se

baKHshi hai ghulamon ko bhi ahrar ki jurat

duniya ka giraftar bhi aazad hai hum se

hum miT gae duniya se to duniya nahin hogi

har zarra hai raushan to jahan shad hai hum se

ilhad ki zulmat se zamane ko nikala

aslaf ki mahfil abhi aabaad hai hum se

sar-masti-e-kirdar se raKHshanda hai aafaq

mahfuz abhi maKHzan-e-ajdad hai hum se

tahzib-o-tamaddun ka sabaq hum ne paDhaya

har husn-e-jahan-saz ki ijad hai hum se

'bebak' kahan gosh-bar-awaz zamana

kuchh millat-e-masum ki fariyaad hai hum se

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahsan Taqwim In English By Famous Poet Bebak Bhojpuri. Ahsan Taqwim is written by Bebak Bhojpuri. Read famous Poem Ahsan Taqwim for youth and Student by Bebak Bhojpuri. Free Download Ahsan Taqwim in PDF.