Allah-re Faiz Ek Jahan Mustafid Hai

allah-re faiz ek jahan mustafid hai

har mast mere pir-e-mughan ka murid hai

waiz abas ye zikr-e-azab-e-shadid hai

ek tauba qufl-e-rahmat-e-haq ki kalid hai

wahshat ne hum ko jama-e-KHaki pahna diya

ai aql ab ye kahe ki qat-o-burid hai

ai rah-rawan-e-jada-e-ulfat baDhe chalo

ye kis ne kah diya hai ki manzil baid hai

kyunkar na qurb-e-haq ki taraf dil mera kijiye

gardan asir-e-halqa-e-habl-ul-warid hai

ab jam-e-jam ki mujh ko zarurat nahin rahi

wo dil mila hai jis mein do-alam ki did hai

wallail hai ki zulf-e-moambar huzur ki

ye ru-e-pak hai ki kalam-e-majid hai

halki si ek KHarash hai qasid ke halq par

ye KHat jawab-e-KHat hai ki KHat ki rasid hai

KHanjar-ba-kaf wo kahte hain ab aae samne

kis ko KHayal-e-wasl hai arman-e-did hai

mujh KHasta-e-dil ki id ka kya puchhna huzur

jin ke gale se aap mile un ki id hai

to dekhe aur bande pe tere azab ho

ya-rab ye teri shan-e-karam se baid hai

shishe ka mo'taqid hai iradat hai jam se

kis pir-e-mai-farosh ka 'bedam' murid hai

(1324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Allah-re Faiz Ek Jahan Mustafid Hai In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Allah-re Faiz Ek Jahan Mustafid Hai is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Allah-re Faiz Ek Jahan Mustafid Hai for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Allah-re Faiz Ek Jahan Mustafid Hai in PDF.