Meri Dastan-e-alam To Sun Koi Zalzala Nahin Aaega

meri dastan-e-alam to sun koi zalzala nahin aaega

mera muddaa nahin aaega tera tazkira nahin aaega

kai ghaTiyon pe muhit hai meri zindagi ki ye rahguzar

teri wapsi bhi hui agar tujhe rasta nahin aaega

agar aae dasht mein jhel to mujhe ehtiyat se phenkna

ki main barg-e-KHushk hun dosto mujhe tairna nahin aaega

agar aae din teri rah mein teri khoj mein teri chah mein

yunhi qafile jo luTa kiye koi qafila nahin aaega

kahin intiha ki malamaten kahin pattharon se aTi chhaten

tere shahr mein mere baad ab koi sar-phira nahin aaega

koi intizar ka faeda mere yar 'bedil'-e-gham-zada

tujhe chhoD kar jo chala gaya nahin aaega nahin aaega

(1497) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Dastan-e-alam To Sun Koi Zalzala Nahin Aaega In English By Famous Poet Bedil Haidri. Meri Dastan-e-alam To Sun Koi Zalzala Nahin Aaega is written by Bedil Haidri. Read famous Poem Meri Dastan-e-alam To Sun Koi Zalzala Nahin Aaega for youth and Student by Bedil Haidri. Free Download Meri Dastan-e-alam To Sun Koi Zalzala Nahin Aaega in PDF.