Rahne De Ratjagon Mein Pareshan Mazid Use

rahne de ratjagon mein pareshan mazid use

lagne de ek aur bhi zarb-e-shadid use

ji han wo ek charagh jo suraj tha raat ka

tarikiyon ne mil ke kiya hai shahid use

faqe na ghuggiyon se saDak par nikal paDen

aafat mein Dal de na ye bohran-e-id use

fart-e-KHushi se wo kahin aankhen na phoD le

aaram se sunao sahar ki nawid use

har-chand apne qatl mein shamil wo KHud bhi tha

phir bhi gawah mil na sake chashm-did use

bazar agar hai garm to kartab koi dikha

sab gahakon se aankh bacha kar KHarid use

muddat se pi nahin hai to phir faeda uTha

wo chal ke aa gaya hai to kar le kashid use

mashkuk agar hai KHat ki likhai to kya hua

jali bana ke bhej de tu bhi rasid use

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahne De Ratjagon Mein Pareshan Mazid Use In English By Famous Poet Bedil Haidri. Rahne De Ratjagon Mein Pareshan Mazid Use is written by Bedil Haidri. Read famous Poem Rahne De Ratjagon Mein Pareshan Mazid Use for youth and Student by Bedil Haidri. Free Download Rahne De Ratjagon Mein Pareshan Mazid Use in PDF.