Ek Bewafa Ko Dard Ka Darman Bana Liya

ek bewafa ko dard ka darman bana liya

hum ne to aah kufr ko iman bana liya

dil ki KHalish-pasandiyan hain ki allah ki panah

tir-e-nazar ko jaan-e-rag-e-jaan bana liya

mujh ko KHabar nahin mere dil ko KHabar nahin

kis ki nazar ne banda-e-ehsan bana liya

mahsus kar ke hum ne mohabbat ka har alam

KHwab-e-subuk ko KHwab-e-pareshan bana liya

dast-e-junun ki uqda-kushai to dekhiye

daman ko be-niyaz gareban bana liya

taskin-e-dil ki hum ne bhi parwah chhoD di

har mauj-e-gham ko hasil-e-tufan bana liya

jab un ka nam aa gaya hum muztarib hue

aahon ko apni zist ka unwan bana liya

hum ne to apne dil mein wo gham ho ki ho alam

jo koi aa gaya use mehman bana liya

aaina dekhne ki zarurat na thi koi

apne ko KHud hi aap ne hairan bana liya

ek be-wafa pe kar ke tasadduq dil-o-jigar

'bahzad' hum ne KHud ko pareshan bana liya

(1104) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Bewafa Ko Dard Ka Darman Bana Liya In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. Ek Bewafa Ko Dard Ka Darman Bana Liya is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem Ek Bewafa Ko Dard Ka Darman Bana Liya for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download Ek Bewafa Ko Dard Ka Darman Bana Liya in PDF.