Ek Be-wafa Ko Pyar Kiya Hae Kya Kiya

ek be-wafa ko pyar kiya hae kya kiya

KHud dil ko be-qarar kiya hae kya kiya

malum tha ki ahd-e-wafa un ka jhuT hai

is par bhi e'tibar kiya hae kya kiya

wo dil ki jis pe qimat-e-kaunain thi nisar

nazr-e-nigah-e-yar kiya hae kya kiya

KHud hum ne fash fash kiya raaz-e-ashiqi

daman ko tar tar kiya hae kya kiya

aahen bhi bar bar bharin un ke hijr mein

nala bhi bar bar kiya hae kya kiya

miTne ka gham nahin hai bas itna malal hi

kyun tera intizar kiya hae kya kiya

hum ne to gham ko sine se apne laga liya

gham ne hamein shikar kiya hae kya kiya

sayyaad ki raza ye hum aansu na pi sake

uzr-e-gham-bahaar kiya hae kya kiya

qismat ne aah hum ko ye din bhi dikha diye

qismat pe e'tibar kiya hae kya kiya

rangini-e-KHayal se kuchh bhi na bach saka

har shai ko pur-bahaar kiya hae kya kiya

dil ne bhula bhula ke teri bewafaiyan

phir ahd ustuwar kiya hae kya kiya

un ke sitam bhi sah ke na un se kiya gila

kyun jabr iKHtiyar kiya hae kya kiya

kafir ki chashm-e-naz pe kya dil-jigar ka zikr

iman tak nisar kiya hae kya kiya

kali ghaTa ke uThte hi tauba na rah saki

tauba pe e'tibar kiya hae kya kiya

sham-e-firaq qalb ke daghon ko gin liya

taron ko bhi shumar kiya hae kya kiya

'bahzad' ki na qadar koi tum ko ho saki

tum ne zalil-o-KHwar kya hae kya kiya

(1224) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Be-wafa Ko Pyar Kiya Hae Kya Kiya In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. Ek Be-wafa Ko Pyar Kiya Hae Kya Kiya is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem Ek Be-wafa Ko Pyar Kiya Hae Kya Kiya for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download Ek Be-wafa Ko Pyar Kiya Hae Kya Kiya in PDF.