Fariyaad Hai Ab Lab Par Jab Ashk-fishani Thi

fariyaad hai ab lab par jab ashk-fishani thi

ye aur kahani hai wo aur kahani thi

ab dil mein raha kya hai juz hasrat-o-nakaami

wo nish kahan baqi KHud jis ki nishani thi

jab dard sa tha dil mein ab dard hi KHud dil hai

han ab jo haqiqat hai pahle ye kahani thi

pur-ab si rahti thin pahle ye meri aankhen

han han isi dariya mein ashkon ki rawani thi

ai chashm haqiqat mein duniya ko ye samjha de

baqi bhi wahi nikli jo chiz ki fani thi

bulbul ne to afsana apna hi sunaya tha

gulshan ki kahani to phulon ki zabani thi

yun ashk bahae the yun kin na thin fariyaaden

ek baat chhupani thi ek baat batani thi

sada nazar aata hai ab to waraq-e-daman

ab tak mere daman par aankhon ki nishani thi

'bahzad' ka wo aalam bhi KHub hi aalam tha

'bahzad' ki nazron mein har chiz jawani thi

(897) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fariyaad Hai Ab Lab Par Jab Ashk-fishani Thi In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. Fariyaad Hai Ab Lab Par Jab Ashk-fishani Thi is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem Fariyaad Hai Ab Lab Par Jab Ashk-fishani Thi for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download Fariyaad Hai Ab Lab Par Jab Ashk-fishani Thi in PDF.