Hona Hi Kya Zarur The Ye Do-jahan Hain Kyun

hona hi kya zarur the ye do-jahan hain kyun

allah ek fareb mein kaun-o-makan hain kyun

sunte hain ek dard to uThta hai bar-bar

us ki KHabar nahin hai ki aansu rawan hain kyun

in be-niyaziyon mein bhi shan-e-niyaz hai

sajde nahin pasand to phir aastan hain kyun

jis gulistan mein roz taDapti hain bijliyan

yarab usi chaman mein ye phir aashiyan hain kyun

is ka hamein malal hai hum kyun badal gae

is ka nahin malal ki wo bad-guman hain kyun

jab dil nahin raha to tamanna ka kaam kya

jab karwan nahin to pas-e-karwan hain kyun

'bahzad' un ke hijr mein ghabra raha hai dil

ab kya kahen kisi se ki bas KHanuman hain kyun

(828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hona Hi Kya Zarur The Ye Do-jahan Hain Kyun In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. Hona Hi Kya Zarur The Ye Do-jahan Hain Kyun is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem Hona Hi Kya Zarur The Ye Do-jahan Hain Kyun for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download Hona Hi Kya Zarur The Ye Do-jahan Hain Kyun in PDF.