KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun

KHushi mahsus karta hun na gham mahsus karta hun

magar han dil mein kuchh kuchh zer-o-bam mahsus karta hun

mohabbat ki ye nairangi bhi duniya se nirali hai

alam koi nahin lekin alam mahsus karta hun

meri nazron mein ab baqi nahin hai zauq-e-kufr-o-din

main ek markaz pe ab dair-o-haram mahsus karta hun

jo lutf-e-zindagani mil raha tha ghaTta jata hai

KHalish jo dil mein rahti thi wo kam mahsus karta hun

tumhaare zikr par kab munhasir hai dil ki betabi

kisi ka zikr ho main chashm-e-nam mahsus karta hun

kabhi pata hun dil mein ek hashr-e-dard-e-betabi

kabhi main apne dil mein dard-o-gham mahsus karta hun

zaban par meri shikwa aa nahin sakta zamane ka

ki har aalam ko main un ka karam mahsus karta hun

ye dil mein hai jo ghabrahaT ye aankhon mein hai jo aansu

is ehsan ko bhi baala-e-karam mahsus karta hun

KHushi ki mujh ko ab bahzad kuchh hajat nahin baqi

ki gham ko bhi main ab un ka karam mahsus karta hun

(1059) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun in PDF.