Kya Ye Bhi Main Batla Dun Tu Kaun Hai Main Kya Hun

kya ye bhi main batla dun tu kaun hai main kya hun

tu jaan-e-tamasha hai main mahw-e-tamasha hun

tu bais-e-hasti hai main hasil-e-hasti hun

tu KHaliq-e-ulfat hai aur main tera banda hun

jab tak na mila tha tu ai fitna-e-do-alam

jab dard se ghafil tha ab dard ki duniya hun

kuchh farq nahin tujh mein aur mujh mein koi lekin

tu aur kisi ka hai bedard main tera hun

muddat hui kho baiTha sarmaya-e-taskin main

ab to teri furqat mein din raat taDapta hun

arman nahin koi go dil mein mere lekin

allah ri majburi majbur-e-tamanna hun

'bahzad'-e-hazin mujh par ek kaif sa tari hai

ab ye mera aalam hai hansta hun na rota hun

(1203) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Ye Bhi Main Batla Dun Tu Kaun Hai Main Kya Hun In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. Kya Ye Bhi Main Batla Dun Tu Kaun Hai Main Kya Hun is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem Kya Ye Bhi Main Batla Dun Tu Kaun Hai Main Kya Hun for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download Kya Ye Bhi Main Batla Dun Tu Kaun Hai Main Kya Hun in PDF.