Lab Pe Hai Fariyaad Ashkon Ki Rawani Ho Chuki

lab pe hai fariyaad ashkon ki rawani ho chuki

ek kahani chhiD rahi hai ek kahani ho chuki

mehr ke parde mein puri dil-sitani ho chuki

banda-parwar rahm kijiye mehrbani ho chuki

mera dil taka gaya jaur o jafa ke waste

jab ki pure rang par un ki jawani ho chuki

jaiye bhi kyun mujhe jhuTi tashaffi dijiye

aap se aur mere dil ki tarjumani ho chuki

aa gaya ai sunne wale ab mujhe pas-e-wafa

ab bayan rudad-e-dil meri zabani ho chuki

aaKHiri aansu meri chashm-e-alam se gir chuka

sunne walo KHatm ab meri kahani ho chuki

hum bhi tang aa hi gae aaKHir niyaz o naz se

han KHusha qismat ki un ki mehrbani ho chuki

sunne wale surat-e-taswir baiThe hain tamam

hazrat-e-'bahzad' bas jadu-bayani ho chuki

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab Pe Hai Fariyaad Ashkon Ki Rawani Ho Chuki In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. Lab Pe Hai Fariyaad Ashkon Ki Rawani Ho Chuki is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem Lab Pe Hai Fariyaad Ashkon Ki Rawani Ho Chuki for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download Lab Pe Hai Fariyaad Ashkon Ki Rawani Ho Chuki in PDF.