Masrur Bhi Hun KHush Bhi Hun Lekin KHushi Nahin

masrur bhi hun KHush bhi hun lekin KHushi nahin

tere baghair zist to hai zindagi nahin

main dard-e-ashiqi ko samajhta hun jaan-o-ruh

kambaKHt wo bhi dil mein kabhi hai kabhi nahin

la gham hi Dal de mere dast-e-sawal mein

main kya karun KHushi ko jo teri KHushi nahin

kuchh der aur rahne de KHuddari-e-junun

daman to chaak hona hai lekin abhi nahin

saqi nigah-e-naz se lillah kaam le

sau jam pi chuka hun magar be-KHudi nahin

rakhna paDegi tum ko tahi-damani ki laj

mujh ko kami zarur hai tum ko kami nahin

'bahzad' saf saf main kahta hun haal-e-dil

sharminda-e-kamal meri shairi nahin

(1416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masrur Bhi Hun KHush Bhi Hun Lekin KHushi Nahin In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. Masrur Bhi Hun KHush Bhi Hun Lekin KHushi Nahin is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem Masrur Bhi Hun KHush Bhi Hun Lekin KHushi Nahin for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download Masrur Bhi Hun KHush Bhi Hun Lekin KHushi Nahin in PDF.