Mohabbat Mustaqil Kaif-afrin Malum Hoti Hai

mohabbat mustaqil kaif-afrin malum hoti hai

KHalish dil mein jahan par thi wahin malum hoti hai

tere jalwon se Takra kar nahin malum hoti hai

nazar bhi ek mauj-e-tah-nashin malum hoti hai

nuqush-e-pa ke sadqe bandagi-e-ishq ke qurban

mujhe har samt apni hi jabin malum hoti hai

meri rag rag mein yun to dauDti hai ishq ki bijli

kahin zahir nahin hoti kahin malum hoti hai

ye eajaz-e-nazar kab hai ye kab hai husn ki kawish

hasin jo chiz hoti hai hasin malum hoti hai

umiden toD de mere dil-e-muztar KHuda-hafiz

zaban-e-husn par ab tak nahin malum hoti hai

use kyun mai-kada kahta hai batla de mere saqi

yahan ki sar-zamin KHuld-e-barin malum hoti hai

are ai chaara-gar han han KHalish tu jis ko kahta hai

ye shai dil mein nahin dil ke qarin malum hoti hai

kisi ke pa-e-nazuk par jhuki hai aur nahin uThti

mujhe 'bahzad' ye apni jabin malum hoti hai

(904) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Mustaqil Kaif-afrin Malum Hoti Hai In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. Mohabbat Mustaqil Kaif-afrin Malum Hoti Hai is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem Mohabbat Mustaqil Kaif-afrin Malum Hoti Hai for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download Mohabbat Mustaqil Kaif-afrin Malum Hoti Hai in PDF.