Tumhaare Husn Ki TasKHir Aam Hoti Hai

tumhaare husn ki tasKHir aam hoti hai

ki ek nigah mein duniya tamam hoti hai

jahan pe jalwa-e-jaanan hai anjuman-ara

wahan nigah ki manzil tamam hoti hai

wahi KHalish wahi sozish wahi tapish wahi dard

hamein sahar bhi ba-andaz-e-sham hoti hai

nigah-e-husn mubarak tujhe dar-andazi

kabhi kabhi meri mahfil bhi aam hoti hai

zahe nasib mein qurban apni qismat ke

tere liye meri duniya tamam hoti hai

namaz-e-ishq ka hai inhisar ashkon tak

ye be-niyaz-e-sujud-o-qayam hoti hai

teri nigah ke qurban teri nigah ki Tis

ye na-tamam hi rah kar tamam hoti hai

wahan pe chal mujhe le kar mere samand-e-KHayal

jahan nigah ki masti haram hoti hai

kisi ke zikr se 'bahzad' mubtala ab tak

jigar mein ek KHalish-e-na-tamam hoti hai

(1855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Husn Ki TasKHir Aam Hoti Hai In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. Tumhaare Husn Ki TasKHir Aam Hoti Hai is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem Tumhaare Husn Ki TasKHir Aam Hoti Hai for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download Tumhaare Husn Ki TasKHir Aam Hoti Hai in PDF.